Main phool hoon meri khusbho tum ho
Main dil hoon meri dharkan tum ho
Main jan hoon meri rooh tum ho
Main jism hoon meri zindagi tum ho
Main sagar hoon meri halchal tum ho
Main sapna hoon meri tabeer tum ho
Main aks hoon meri haqiqat tum ho
Main saya hoon meri surat tum ho
Main sahil hoon meri aas tum ho
Main lab hoon meri baat tum ho
Main aankh hoon meri roshni tum ho
Main tab hoon mukamal jab sath tum ho…..
***********
Ager kabi
tum janna chaho
k tum mayray liay kia ho
to sun lo
mayri har sans mayn tum ho
mayri har dharkan mayn tum ho
mayri har ahat mayn tum ho
mayri har chahat mayn tum ho
mayray har lafz mayn tum ho
har nam tumhara nam hai
har bat tumhari bat hai
har lafz jo mayray lab par hai
wo tumhara kaha hoa hai
har lamhay mayray zehen mayn tum ho
har khuwab mayn tum ho
har nazar mayn tum ho
har lamhayn mayray khiyalon mayn tum ho
har yad tumhari yad hai
har yadoon mayn tumhari yadayn hayn
har chehray mayn tumhara chehra hai
har sitary mayn lagta hai
tumhara kangan chamakraha hai
har khushbo tumharay
badan ki khushbo lagti hai
chand mayn tumhara chehra dikhta hai
mayri har adat tumhari adat hai
mayra ye jewan tumhara nam hai
mayri zindagi tumhary nam hai
mayri zindagi tumsay hai
mayri payhli aur akhri mohobat tum ho….
**********
Chehre pe khushi chah jati hia ankhon mein suroor aajata hai
Jab tum mughe apna kehte ho apne app pe guroor aajata hai
Tum husn ki khud ik dunya,shayad yeh tumhain maloom nahi
Mehfil mein tumhare aane se har chiz pe noor aajata hai
Hum pass se tum ko kiya dekhen,jab tum mukabil hote ho
Betaab nighaoon keaage parda sa zaroor aajata hai
Jab tumse mohabbat ki humne tab jake kahin yeh raaz khula
Marne ka saliqa aate hi jeene ka shaur aajata hai…..
**********
1 Hawa Ka Jhonka Ho Tm..
Mra Sb Se Acha Tohfa HoTm….
Aasman Ka Chamakta Tara HoTm…
Mre Jeny Ka Sahara HoTm….
Dunya Ki Kemti Kitab HoTm…
Mre Liy 1 Gulab HoTm* ….
meri zindaga ka pehla…
aur aakhiri khwaab ho tum..,,,.
“I miss u”
*********
teri koshish teri tadbeer hona chahta houn…
main teray hath ki tehreer hona chahta houn…
to merey pass aey or palat kar na jaey…
nmain teray paoun ki zaneer hona chahta houn…
mujhe hajat nahi ab dosaroun k mashwaroun ki…
main khud hi sahib-e-taqdeer hona chahta houn…
azal se khawb ban kar teri ankhoun mai raha houn…
main ab shartminda-e-tabeer hona chahta houn…
main ic liay mismar khud ko kar raha houn…
k teray hath se tameer hona chahta houn……
**********
Farz karo k tum sa Sunder na koi hum ne dekha ho
Farz karo k Aankh tumhari bin Kaajal bhi pyari ho
Farz karo k pyar tumhara meri jeevan dhara ho
Farz karo k dekh k tum ko hum ne bhi dil hara ho
Farz karo k pyar me tere hum ko Neend na aati ho
Farz karo k Surat teri din me bhi tarrpati ho
Farz karo k bin tere na ek pal mujh ko Rehna ho
Farz karo k ye sab mujh ko sach much tujh se kehna ho…
**********
Mairee dunyaa sanwaar day koi,
Mujhay thoraa sa pyaar day koi,
Mairee dharkanain baitab kardai,
Mairee aankhoon ko intezar day koi,
Main bhool jaaoon be-qarari ko,
Mujh ko itna qarar day koi,
Apnee zulfoon main qaid karlay,
Mujh ko mujh say farar day koi,
Ashk ankhon say choom loon uss kay,
Khud pay yeh ikhtyaar day koi,
Yeah sab rahatain qurb-o-rafaqat kee,
Mujh ko bas eik baar day koi…..
*********
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
Hum Ghoom Chukey Basti Bun Main
Koi Sajan Ho Koi Pyara Ho
Koi Deepak Ho Koi Tara Ho
Jab Jeewan Raat Andheri Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
Jab Sawan Badal Chaiyee Hon
Jab Phagan Phool Khilaye Hon
Jab Chanda Roop Lutata Ho
Jab Sooraj Dhoop Nahata Ho
ya shaam nay basti ghari Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
Han Dil Ka Daman Pheela Ho
Kion Gori Ka Dil Mela Ho
Hum Kab Tak Peet Kay Dhokey Main
Tum Kab Tak Doe Jharokey Main
Kab Der Sey Dil Ko Sairi Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho
Kya Jhagra Sood Khasarey Ka
Yeh Kaam Nahi Banjarey Ka
Sab Sona Ropa Lay Jayee
Sab Dunya Dunya Lay Jayee
Tum Aik Mujhey Behteri Ho
Aik Bar Kaho Tum Meri Ho….!!!!
**********
Jaab roop saroop sawar jai
jaab tarey orr chamak jain
jaab dil key ujley sagar mein
umeed ki naiiya parr lagey
jaab dil ki banjarr dharti par
kaliyan chahat ki kheel jain
jaab depak sarey jal jain
to samjho tumhary
dil key soney angan mein
aik chand ney dera dala hai….!!!